Thursday 24 October 2013

Koi halchal na sada hai mujh mein


Koi halchal na sada hai mujh mein
Janay kia toot gaya hai muj mein,

Aina mujh ko dikhanay walay .
Tera chehra hi chupa hai mujh mein,

Kitna gehra hai esay parkha hota .
Ye jo ek rung-e-wafa hai mujh mein,

Kon mitti ka kharidaar yahan .
Usne kia dakh liya hai mujh mein.

No comments:

Post a Comment