Thursday, 31 October 2013

BeWafa Hi Sahi

Photo: Bewafa hum hi sahi, khud pe bhi kuch ghaur karo,   Be'rukhi aap ki bhi hadh se zeyadaa to nahin.......!!

Jin LOgo

Photo: Jin logo ke khayalat achhe hote hain,  woh log kabhi tanha nahi hote.

Wo Aur Hun Ge

Mehek Naaz's photo.

Sari Dunya

Mehek Naaz's photo.
Mehek Naaz's photo.

Dard Dua

Photo: Kese Manglen Khuda Se Duaa Unki Khushyon Ki    Jab Ke Wo Aksar Hamen Pukarta He Dard Milne Ke Baad..

Rishton Ki door

Photo: Rishton Ki dor Kamzor Tb Hoti Hai Jb Insaan Galat Fehmi M Paida Hone Wale Sawalon Ka Jawaab Bhi  Khud Hi Bana Leta Hai.

Manzalon Ka Gham

Photo: Manzlou'n Ka Gham Karney Sey Manzlai'n Nahi Milti  Hosley Bhi Toot Jaty Hai'n Aksar Udas Rahney Sey....</3  ~#anjia~

Ahista Chal Waqat

Photo: Zara ahista chal ay waqt-e-rawan...   Sari kainat meri bahoon ma hy.

Koi Mukhlis

Photo: koi Mukhlis agr hota tu main bhi mohabbat kerti   dil to bohat milay hain magr koi dil se nahi milta..!!!  ~#anjia~

Manzalain To

Photo: Manzelai'n Tu Khush Nasibou'n mai'n Taqsem Ho Chuki,  Hum Khush Khayal Log....... Abhi Tak Safar Mai'n Hain !!

MuhaBat

Photo: Zaruri to nahi jo khushi de, usi se mahobbat ho,  Pyar to aksar dil todne walon se bhi ho jata hai..

Hassart

Photo: Dar-o-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai  Jaanay Kis Dais Gaye Pyaar Nibhaanay Waalay !

Aik Raat

Photo: Ek Raat Ka Aalam Aur Hum Pe Yeh Aalam-E-Tanhaai   Hum Ko To Le Doobe Ga Tera Yun Be'Had Yaad Aana.

Aye Dil

Photo: Aye dil ab chor bhi de usAy Yaad karna..   Wo Kalma nahi hai jo tu Qafir ho jayegaa........ !!

Hum Intazar

Photo: hum intezar karenge tera qayamat tak  Khuda kare ke qayaamat ho aur tu aaye </3
Photo: Qadar kijiye ga... Aisay rishton ki... Jo aap k seenay k ooper pehni jaib k bajaiy... Seenay k under dharakty dil may dilchaspi rakhty hain!
Photo: Aye Kaash Mai Phir Se Laut Jau Bachpan Ki Wadi Me Tab Na Koi Zarrorat Thi Na Koi Zaroori Tha...........!!

MaUoos

Photo: Mayoos Ho Gaya Hn Main Zindagi k es Safar Sy,    Maqsad ki Dostiyan Aur Matlab Ki Mohabbat...!!

Dua

Photo: Rakhna meri ' Maa ' ko Hayat , jab tak main zinda hoon , aay ALLAH kay un kee dua k bina meri zindagi bohat adhoori hai !!

Wednesday, 30 October 2013

Bewafa kehte ho mujhe sach hi to kehte ho

0

Tum ko jab bojh lage sath to bata dena



Shikway, Gillon Ko Chorh Kay Pehloo Main Aa Ke Baith.




Shikway, Gillon Ko Chorh Kay Pehloo Main Aa Ke Baith.

Aa Phir Naye Siray Se Muhabbat Shuroo Karein..

Ishq me Aisi Karamat Nahi Dekhi Hum Ne.




Ishq me Aisi Karamat Nahi Dekhi Hum Ne.

Ro Ba Ro Yaar Ho... or Hosh me Deewana Rahy.

Mohabbat


Behky Behky Andaaz E BAyan H0ty Hain.




Behky Behky Andaaz E BAyan H0ty Hain.

Aap H0ty Hain To PhIr H0sh kahan H0ty Hain.

Tu Es Qadr Mujhey Apne Qareeb Lagta hai..




Tu Es Qadr Mujhey Apne Qareeb Lagta hai...

Tujhey Alag Sey Jo Socho'n Ajeeb Lagta hai.

Maana K Main Haseen Hun Magar Is Qadar kahan.




Maana K Main Haseen Hun Magar Is Qadar kahan.

Jitna k Teri Deed Nein Mujhko Bana Diya .

Kitni raatain beet gyi..!




Kitni raatain beet gyi..!

Kitnae din beet gaye..!

Bss nai beeta..!

Yadoon ka wO pal..!

Wo guzra hua kal..!

Nahi beeTe to ankhOOn ke nami OR

"Tere kami"...!!!

Tu Mera Chaand




Tu Mera Chaand.................♥

Main Teri Chaandni.............♥

Monday, 28 October 2013

Hai Aarzoo Ke Ek Raat Tum Aao Mere Khwaab Mein....



Hai Aarzoo Ke Ek Raat Tum Aao Mere Khwaab Mein....

Bas Dua Hai Ke Us Raat Ki Kabhi Subah Na Ho...

Hum Jab Nibhate Hain To Is Tarah Nibhate Hain Mohabbat..



Hum Jab Nibhate Hain To Is Tarah Nibhate Hain Mohabbat..

Saans Lena Chor Sakte Hain Magar Daaman-E-Yaar Nahi...

Friday, 25 October 2013

Quaid-e-Azam Hum Sharminda Hain



Admin strongly condemned the rockets and hand grenades attack,
targeting the Quaid-e-Azam Residency in Ziarat

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye,

Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye,

Dil ki dunya mein baharon ke zamaney aaye,

Yeh alag baat hai ke tabeer na de sath mera,

Khawb to jitne bhi aaye woh suhaaney aye,

Woh hai maghroor magar pyar se majboor bhi
,
Khud hi naraaz kare khud hi mananey aaye,

Kyon tarss aya hai us ko meri tanhai par,

Woh mujhe meri nazar se na giraaney aye,

Woh bataye na mujhe apne bicharne ka sabab,

Us se keh do woh mera dil na jalaney aye,

Pyaar kya hota hai ab tak mujhe maloom na tha,

Chott khayi to mere hosh thikaaney aye,

Jo mera dil bhi sajaa de mere chehre pe Qateel,

Woh mussawar meri tasveer bananey aye..

Kiya hai pyar jisey hamne zindagi ki tarah.



Kiya hai pyar jisey hamne zindagi ki tarah.
woh ashna bhi mila Hum se ajnabi ki tarah.

kise khabar thi barhey gi kuch aur tareeki.
chupay ga woh bhi kisi badli me chandni ki tarah.

barha ke pias meri usney haath chor dia.
woh kar raha the muhabbat bhi dil lagi ki tarah.

sitam to yeh hai ke woh bhi na ban saka apna.
qabool Hum ne kiye jis ke gham khushi ki tarah.

kabhi na socha tha Hum ne qateel us ke liye.
karey ga Hum pe sitam woh bhi har kisi ki tarah.

Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai,

Tere mehndi lage hathon pe mera naam likha hai,

Zara se lafzz me kitna paighaam likha hai,

Yeh teri shaan ke shayaan nahin lekin majboori,

Teri masti bhari ankhon ko mene jaam likha hai,

Main shayar hoon, magar agey na barh paya riwayat se,

Labon ko pankhrri*, zulfon ko main ne shaam likha hai,

Mujhe maut aaye gi jab bhi tere pehluu main ayegi,

Tere gham ne bohat acha mera anjaam likha hai,

Meri qismat mein hai ik din griftaar-e-wafaa hona,

Mere chehre pe tere pyaar ka ilzaam likha hai,

Qateel ik khubsurat buut* hai, main jis ka pujaari* hoon,

Mere mazhab ke khaaney mein magar Islam likha hai.

Jub Tasawur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhu Aaye



Jub Tasawur Mera Chhupkay Se Tujhe Chhu Aaye.
Apni Har Saans Se Mujh Ko Teri Khushbu Aaye.

Mashgala Ab Hai Mera Chaand Ko Taktay Rehna.
Raat Bhar Chain Na Mujh Ko Kisi Pehlu Aaye.

Jub Kubhi Gardish-e-Douraan Ne Sataya Mujh Ko.
Meri Janib Tere Phailay Howay Bazo Aaye.

Jub Bhi Socha Ke Shab-e-Hijr Na Hogi Roshan.
Mujh Ko Samjhanay Teri Yaad Ke Jugnu Aaye.

Mujh Se Milnay Ko Sar-e-Shaam Koi Saaya Sa.
Tere Aangan Se Chalay Aur Lab-e-Juu Aaye.

Os Ke Lehjay Ka Asar To Hai Bari Baat “Qateel”
Wo To Aankhon Se Bhi Karta Howa Jado Aaye.

Tumhaari Anjuman Se Uth Kar Deewaanay



Tumhaari Anjuman Se Uth Kar Deewaanay Kahan Jaatay ?
Jo Waabasta Howay Tum Se Wo Afsaanay Kahaan Jaatay ?

Nikal Kar Dair-o-Kaaba Se Agar Milta Na Maikhaana
Tou Thukraaye Howay Insaan Khuda Jaanay Kahaan Jaatay ?

Tumhaari Be-Rukhi Ne Laaj Rakh Li Baadaah Khaanay Ki
Tum Aankhon Se Pila Daitay Tou Paimaanay Kahaan Jaatay?

Chalo Acha Howa, Kaam Aagayi Deewaangi Apni
Wagarna Ham Zamaanay Bhar Ko Samjhaanay Kahaan Jaatay ?

“Qateel” Apna Muqaddar Gham Se Begaana Agar Hota
Tou Apnay Paraaye Hum Se Pehchaanay Kahaan Jaatay.

Ay Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun



Ay Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun
Jab Tais Koi Chamkay Mein Tujhko Dikhai Dun

Jis Roz Kubhi Tera Deedaar Na Ho Paaye
Mein Apni Hee Aankhon Ko Naabeena Dikhai Dun

Magroor Hai TU Kitna Sirf Ik Sanam Ban Kar ?
TU Chaahay Tou Mein Tujhko Tan Man Ki Khudaai Dun

Tujh Sa Koi Dil Wala Mehsoos Karay Mujhko
Mein Geet Nahi Aisa Jo Sab Ko Sunaai Dun

Ik Umer Ke Baad Apnay Chit Chor Ko Pakra Hai
Mein Kaisay Qateel Osko Baanhon Se Rihaayi Dun

Ishq MainQalb-o-Jigr Bhi Na Hmary Nikly,

Ishq Main
Qalb-o-Jigr Bhi Na Hmary Nikly,

Jo B Nikly Wo Traf'dar Tumhary Nikly

Ktny Aashiq Hwy Qurban Tujhy Maloom Nahin

Ktny Zalim Tri Nzron K Ishary Nkly

Tere darya-e-Mohabat Main Mohabat Se Kbhi

Dobny Waly Jo Doobay Na Kinary Nikly

Kitna Mushkil tha
Gham-e-Doran Se Niklna Lekin,

Hum Jo Nikly To Faqat Un K Sahary Nikly,

Un ka shehr chor k jane ka jb howa faesla  Ae'"Qateel"'

Hm Ghar Se roty Huwy Bin Zulf Sanwary Nikly.

pane ki tujh ko main ne koshish to bohat ki


teri tarha tera gham b

us ne apni chaal chali